Home » 2014 » January » 8 » From deep within

8:35 PM
From deep within
Na jaane kitne sawaal mere jehan me aate hain
Par afsos ki wo jehan me hi dafan ho jate hain
ki tum na hoti to kya hota
ki hum na hote to kya hota
gar ye baadal na hote to barish na hoti
jo barish nai hoti to nadiya na hoti
jo nadiya na hote to sagar na hota
balaon k koti pe v gagar na hota
agar dil me koi khwahish hi na hoti
hume aur jeene ki ranjish na hoti
to kya koi humse yun dil na lagata
to kya koi hamara ye dil na dukhata
kash aisa v koi mukaddar mai paata
ki fir se mai apne ladakpan me jaata
jo fir se muje maa yun gale se lagaati
aur muje apne haatho se khana khilati
jaane kitne aise sawaal mere jehan me aate hain
par afsos ki wo jehan me hi dafan ho jate hain
kash aisa v koi karam mai kar paata
kash aisa mai koi software banaata
jo jab chahe muje meri maa se milaati
jo jab chahe muje uske aanchal me basaati
kya aisa kabhi kuch chamatkar hota
mera v ek sapna ye sakaar hota
ki mai bas jo hai usme hi khush ho jaata
puri duniya ko uske hisse ki khushiuya dilaata
magar sach hai har kisi ko sab mayassar nahi hota
insaanon ko rab sa mukaddar nahi hota
aise kitne sawaal mere jehan me aate hain
par afsos ki wo jehan me hi dafan ho jate hain
 
 

Category: My New Creations | Views: 1172 | Added by: shanky | Rating: 0.0/0

Related blogs


You may also like to see:



Total comments: 0
ComForm">
avatar